Now playing

Koyi to aisa hota jo
Shehar mein baadal le aata
Jo mere khwabon jaisa ho
Ek aisa paagal le aata

Tumhari chhat pe dekho naa
Main leke baadal aaya hoon
Jo tum pe haske mar jaaye
Wahi main paagal aaya hoon

Bheegna hai mujhe aaj to
Tumhare sang jee bhar ke

Yeh pehli baarish hai jaanam
Wo jiski chahat thi hardam
Badi mannat se aaya hai
Mohabbat wala yeh mausam

Yeh pehli baarish hai jaanam
Wo jiski chahat thi hardum
Badi mannat se aaya hai
Mohabbat wala yeh mausam

Badi dilkash badi naazuk
Si dekho raat aayi hai
Sulagti hai meri dhadkan
Yeh kya barsaat aayi hai

Yeh mausam bhi hai mauka bhi
Toh kyon hum bewajah tarsein
Chalo naa ek dooje pe
Zaraa hum toot ke barsein

Bheegna hai mujhe aaj to
Tumhare sang jee bhar ke

Yeh pehli baarish hai jaanam
Wo jiski chahat thi hardum
Badi mannat se aaya hai
Mohabbat wala yeh mausam

Yeh pehli baarish hai jaanam
Wo jiski chahat thi hardum
Badi mannat se aaya hai
Mohabbat wala yeh mausam

Tumhare saath ki baarish mein
Boondein muskurati hain
Jo naa ho saath mein tere
Wo baarish dil jalaati hai

Idhar tum ho jo baahon mein
Khuda se aur kya maangu
Har ek baarish tumhare saath guzre
Yeh dua maangu

Baarish Hai Jaanam Lyrics + Song Information

Baarish Hai Jaanam is a song from the movie Baarish Hai Jaanam – Single. The song is sung by Stebin Ben, Payal Dev. Lyrics are written by Raj Shekhar and music is composed by Payal Dev. It is directed by Siddharth-Garima and produced by Bhushan Kumar under the music label T-Series. The song features Stebin Ben and Harshita Shekhar Gaur.

Frequently Asked Questions on Baarish Hai Jaanam Song

  • "Baarish Hai Jaanam" song has been sung by whom? Stebin Ben, Payal Dev has sung the song "Baarish Hai Jaanam".
  • Which movie is the song "Baarish Hai Jaanam" from? The song "Baarish Hai Jaanam" is from the movie "Baarish Hai Jaanam – Single".
  • Who wrote the lyrics of "Baarish Hai Jaanam"? The lyrics of "Baarish Hai Jaanam" were written by Raj Shekhar.
  • Who composed the music of "Baarish Hai Jaanam"? The music of "Baarish Hai Jaanam" was composed by Payal Dev.
  • Who are the actors in the song "Baarish Hai Jaanam"? The song "Baarish Hai Jaanam" features Stebin Ben and Harshita Shekhar Gaur.

Added by

Ayushi

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *

ADVERTISEMENT

VIDEO

Now playing