Now playing

Jo mein hu usse koi jaanta nahi hai
Jo sab jaante wo mein hi nahi hu
Jab main likhoon toh relate kare saare
Sab wait kare mauke ka par mein waisa nahi hu
Jo mujhe jaante wo jaante hain sahi se
Na kadar kare uske life mein nahi hu
Jo mein hoon usse koi jaanta nahi hai
Jo sab jaante wo mein hi nahi hu

Kitne baar gira phir bhi yahaan pe khada tu
Koi dega nahi bana khud ki jagah tu
Ye sapna dekhne ko raat bhar se jaga hu
Baatein jaise khud ki umar se mein bada hu

Farak pade na ab kaun peechhe chhoot raha hai
Farak pade na ab kaun tujhse rooth raha hai
Farak pada jab hi pata chala kisi
Farak pada nahi jab tu saala tanha udhar toot raha hai

Sabko bachaane chala khud ka bana le pehle
Khud ko banaayega toh tujhko bulaayenge ye
Matlabi jo kabhi unke zaroorat pe khada tha
Jab koi nahi tha koi nahi ab jaane de be

Jo mein hu usse koi jaanta nahi hai
Jo sab jaante wo mein hi nahi hu
Jab mein likhoon toh relate kare saare
Sab wait kare mauke ka par mein waisa nahi hu

Jo mujhe jaante wo jaante hain sahi se
Na kadar kare uske life mein nahi hu
Jo mein hu usse koi jaanta nahi hai
Jo sab jaante wo mein hi nahi hu

Kai logon ke liye din bana raat bana nahi
Ki koshish apne aap bana nahi
Kai rishton mein ullu bane par kabhi
Kisi ke liye saanp bana nahi

Kho jaana tu achaanak tujhe khojte
Aayega jo uske naam zamaana kar dena yahi

Koi mujhe jaanta nahi jaise koi anjaan hu mein
Kaafi jaan ke bhi mujhe bane anjaan hain ye
Meri jaan is jahaan ko gaya jaan hu mein
Kise kya chaahiye mere se hum sab jaante

Apne matlab ke liye saare yahaan apne hote hain
Tune dekha nahi hai zindagi me jo dekha mein
Kabhi roya nahi hoon sabke saamne par
Inke baare bolne lagoon toh sahi me ro doonga mein

Tu na jaanta hai kaise humne din jiye
Jo chale saath mein wahi chal chalta hai
Koi bicha ke nahi diya mujhe raaste ye
Tabhi maine raasta banaana idhar khud seekha hai

Jab kisi ko kuch ho zaroorat
Zubaan sabki meethi hoti
Uth chuka hai duniya se mera yaqeen

Jo mein hu usse koi jaanta nahi hai
Jo sab jaante wo mein hi nahi hu
Jab mein likhoon toh relate kare saare
Sab wait kare mauke ka par mein waisa nahi hu

Jo mujhe jaante wo jaante hain sahi se
Na kadar kare uske life mein nahi hu
Jo mein hu usse koi jaanta nahi hai
Jo sab jaante wo mein hi nahi hu

Jo Mein Hu Lyrics + Song Information

Jo Mein Hu is a song from the movie CNSTNCY. The song is sung by Emiway Bantai. Lyrics are written by Emiway Bantai and music is composed by Mohd Bilal Shaikh. It is directed by Emiway Bantai and produced by MEMAX under the music label Bantai Studio. The song features Emiway Bantai and .

Frequently Asked Questions on Jo Mein Hu Song

  • "Jo Mein Hu" song has been sung by whom? Emiway Bantai has sung the song "Jo Mein Hu".
  • Which movie is the song "Jo Mein Hu" from? The song "Jo Mein Hu" is from the movie "CNSTNCY".
  • Who wrote the lyrics of "Jo Mein Hu"? The lyrics of "Jo Mein Hu" were written by Emiway Bantai.
  • Who composed the music of "Jo Mein Hu"? The music of "Jo Mein Hu" was composed by Mohd Bilal Shaikh.
  • Who are the actors in the song "Jo Mein Hu"? The song "Jo Mein Hu" features Emiway Bantai and .

Added by

Ayushi

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *

ADVERTISEMENT

VIDEO

Now playing